Google spam update recovery blog post not indexed by google Problem Solve

 Google spam update recovery blog post not indexed by google Problem Solve

Dosto Aj hum Baat krny Waly Hain ke Google Spam Update Kon Si hain OUr Agir Ap ki website is se effect Howi Hain to Ap osy Kasy google spam update recovery kar sakty hain to is artical main ap ko complete guide kiya jay ga agir ap ki blog post not indexed by google yani google main index nai ho rhi to is problen ka solotion bi ap ko btaya jay ga sab se phaly hum ya jan laty hain ke vo updates ti kon se our in ka kiya maqsad ha.

Google spam update recovery

Google spam update Main Point

1-Link Spam                             2-Keyward Stuffing

3-Cloaking                                4-Doorway Pages

5-Hacked Content                    6-Hidden Content

7-Scraping Google                   8-Scraping Others

9-Artificial Content                 10- Malware

11-Misleading Functionality   12-Sneaky Redirects 

13-Lazy Affiliate Pages          14-user Generated Spam

15-Real Scam

1- Link spam

Link Spam ka matlab ha jab ap backlinks ko froud tariqy se bnaty hain jasa ke backlink genrator site hain our esi trah ke muqtalif software ab hum ap ko btaty hain ke kon backlinks froud main aty hain jo links ap pasy de kr ya phie exchange se banwaty hain ku ke jis se ap backlnks laty hain vo apna bissnes krty  hain our multiple logo ko backlink sell krty hain to google ke bot in ko trace kr lyta ha our ya backlinks bi ap ke spam main aty hain to koshash kry ap choti site se backlink na lian 

2-Keyward Stuffing

Keyward Stuffing ka mutlab jab ap ko bhi artical likhty hain to apny keywards ko khai bar apny artical main paste krty rhati jo ko bhut he galt ha is se ap ka artical bi rank nai hota our dosra ap google ki policy ki bhi volation krty hain is liye keyward ki jha zarorat hain sirf whi pe use kry 

3-Cloaking

dosto hum ap ko btaty hain ke cloaking kiya hota ha cloaking ka matlb ha google bot ko alag content dikhana our humen yani people ko alag content dikhana ya daynamic content hota ha asy content ko scamer use krty hain ta ke vo spam activety kry our google ko pta na chaly to ap ne ya kam nai krna 

4-Doorway Pages

Doorway Pages pages ka matlb ha ke ap kisi ak keyward par artical likhty hain our phir os ke defrent pages bna kar apni site pe publish kr daty hain our user ko apni he site par har bar pages ko open krwaty rhaty hain har page main link lga kar  to agir ap ne bhi ya galtii ke ha to esy thk kry ta ke up ki site google ki updates se bach saky

5-Hacked Content 

Hacked Content matlb ap ne apni site par hacking ke mutaliq content nai likhna jo ke google ki policy ki volation krta ha is se ap ne bachna ha 

6-Hidden Content

dosto hidden content ka matlab jasa k ap clicks lany ke liye ap ne asy link apni website pe bna rhaky ha jo ke people ko nazar nai aty lakin google in links ko dikh sakta jasa ke ap kisi imags ke pechy links ko lga daty hain ya phir link k clour change kr daty ha jis se logo ko nazar na ay to ap ne asa bilkul nai krna ya bhi ap ki site par bora effect dal sakta ha 

7-Scraping Google

 agir ap kisi tools ke zariye apni website par trafic bajty jo ke search ke zariye ati ha to ya Scraping Google krty hain jo ke google ki policy ke khalaf ha ku ke ya ap ke server ko he use kr ke ap ki website ko searh krta ha jo ke google ki policy ko volation ha 

8-Scraping Others

Scraping others ka matlb ha kisi ki our ki website se content ota kar apni website main paste krna ya phir kisi ko content ko kis spiner tools ma dal kr spin kr ke apni website par piblish krna agir ap asa kam kr rhy hain to ap is se bhi bachy ap asa kr rhy hain to ap ki website zaror google ki pollicy ke bad down ho gayi ho gi so ap ne ya kaam bi nai karna 

9-Artificial Content 

dosto Artificial content ka matlb ha jasa ke ap kisi tools ki madad se artical kogenrate krty hain jo ke is time main bhut ziyada log istamal krty hain to google is cheez ko pakar lyta to ya cheez bhi ap ke liye khatar naak ho sakti to ap ne is se bhi bachna ha 

10-Malware

malware matlab jab apni website par asy pages bnty hain jo ke downlaoding ke releted hoty hain jo ke kisi ki seystem main kisi software ko install krwaty hain to asy content ko malware khaty hain jasa ke ap khai clicks krty hain to vo cheezy downlaod hona start ho jati hain to ya google ki policy ke khalaf ha ap ne is bhi bachna ha 

11-Misleading Functionality 


dosto jasa ke name se lag rha ha ke misleading agir ap kisi user ko bta kuch rhy hain titles main our ap ki site par artical kuch hain ya phir jo cheez ap bta rhy hain vo provide nai kr rhy to ya content Misleading Functionality kalata ha our ya spaming ma ata ha our is ki waja se ap ki site down ho sakti ha ku ke ya google ki policy ki valation krta ha 

12-Sneaky Redirects

dosto agir ap apni website ma koi asy links ka use krty hain jo ke kisi dosry page pe redrict krty hain ab ap na use ko links koi our dikya mugar ap ne backgroud ma koi our links lgya hoya ha jis ki waja sa vo kisi dosry page main redrict ho jata ha ya content Sneaky Redirects kalata ha jo ke google ki policy ki volation krta ha to ya kam bi ap ne nai krna 

13-Lazy Affiliate Pages

asy website jo kis bi affliate website ki products ko promote krti hain same ik ki products ki picture our text ko use krti hain begair koi changes kiye to asi pages ko Lazy Affiliate Pages katy hain our asi website google ki spam update main bhut ziyada effect hoti hain to ap ne uniqe content dyna ha jo ke google ki policy ki volation na kry 

14-user Generated Spam

agir ap ki website asy designe ki gayi ha jis pe koi bi use a kar kuch bi publish kr sakta ha ya phir koi bi link dal sakta ha to asy website ko user Generated Spam ma dala ja sakta ha our ap ki websit is se effect ho sakti ha 

15-Real Scam

asi website jo ke kesi brand ki website ko copy karti ha jo ke website same orignal website ki trah lagy to asi website Real Scam ki cotagey main aty hain our asy website ko google apni spam update main dal kr dead kr sakta ha to ap ne is se bhi bachna ha 

Problem Solving 

dosto ab hum baat krty hain ke ap ne is problem ko solve kasy krna ha sab se phaly ap ne apni old post jitni bhi ha in ki titles main changing krni hain is ke ilwa artical ki images wegra ko change krna tora bhut jis se google ko ye lagy ap ne apni website main change s ki hain yad rhy ap ne links ko change nai krna sirf artical main changes krni ha to ap ki website slowly slowly google main rank hona start ho jay ge blog post not indexed by google agir ap ki post index nai ho rhi to eny pings tools ke zariye ping krwaye our manuly ja kr indx krwaye our apni post ka title our links same rhaky ta ke ap ki post jaldi se index ho saky